"khatm hota hi nahin silsila tanha.i ka jaane kis darja masafat men hai Dhali ga.i shab"

Arshad Jamal Sarim
Arshad Jamal Sarim
Sherशेर
See all 18 →khatm hota hi nahin silsila tanha.i ka
ख़त्म होता ही नहीं सिलसिला तन्हाई का
har ek shakh pe viraniyan musallat hain
हर एक शाख़ पे वीरानियाँ मुसल्लत हैं
zindagi ham se tiri ankh-micholi kab tak
ज़िंदगी हम से तिरी आँख-मिचोली कब तक
mumkin hai yahi dil ke milane ka sabab ho
मुमकिन है यही दिल के मिलाने का सबब हो
dekh ai meri zabun-hali pe hansne vaale
देख ऐ मेरी ज़बूँ-हाली पे हँसने वाले
kya kahun kitna fuzun hai tere divane ka dukh
क्या कहूँ कितना फ़ुज़ूँ है तेरे दीवाने का दुख
Popular Sher & Shayari
36 total"har ek shakh pe viraniyan musallat hain badan-darakht bhi goya hai ashiyan-e-shab"
"zindagi ham se tiri ankh-micholi kab tak ik na ik roz kisi moD pe aa lenge tujhe"
"mumkin hai yahi dil ke milane ka sabab ho ye rut jo hamen haath milane nahin deti"
"dekh ai meri zabun-hali pe hansne vaale vaqt ki dhuup ne kis darja nikhara mujh ko"
"kya kahun kitna fuzun hai tere divane ka dukh ik taraf jaane ka gham hai ik taraf aane ka dukh"
dekh ai meri zabun-haali pe hansne vaale
vaqt ki dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
jaane kis rut mein khileinge yahaan taabir ke phuul
sochtaa rahtaa huun ab khvaab ugaataa huaa main
vo ik lamha sazaa kaaTi gai thi jis ki khaatir
vo lamha to abhi ham ne guzaara hi nahin thaa
Ghazalग़ज़ल
pyaas har zarra-e-sahraa ki bujhaai gai hai
प्यास हर ज़र्रा-ए-सहरा की बुझाई गई है
iztiraab aisaa huaa dil kaa sahaaraa mujh ko
इज़्तिराब ऐसा हुआ दिल का सहारा मुझ को
juDe hue hain pari-khaane mere kaaghaz se
जुड़े हुए हैं परी-ख़ाने मेरे काग़ज़ से
bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain
बस कि इक लम्स की उम्मीद पे वारे हुए हैं
do-chaar sitaare hi miri aankh mein dhar jaa
दो-चार सितारे ही मिरी आँख में धर जा
kisht-e-ehsaas mein thoDaa saa milaa leinge tujhe
किश्त-ए-एहसास में थोड़ा सा मिला लेंगे तुझे





