Quote
aaj-kal 'ushshaaq kaa divaala niklaa jaae hai
husn ki farmaaishon kaa tax baDhtaa jaae hai
ek 'aashiq gham kaa hai ik shaadmaani par nisaar
koi uttar koi dakhkhin jis ko jo bhaa jaae hai …
A
Ata Lucknowiaaj-kal 'ushshaaq kaa divaala niklaa jaae hai
husn ki farmaaishon kaa tax baDhtaa jaae hai
ek 'aashiq gham kaa hai ik shaadmaani par nisaar
koi uttar koi dakhkhin jis ko jo bhaa jaae hai …
itne tanhaa hain ki ab phirte hain ham dhupon mein
saath saayaa ho to kuchh baat karein raston mein
ai bahaar is ko na de saaya-e-gul mein aavaaz
hai havaa-e-chamani uDte hue patton mein …
shahr-e-tarab mein aaj ajab haadisa huaa
hanste mein us ki aankh se aansu chhalak paDaa
hairaan ho ke soch rahaa thaa ki kyaa kahun
ik shakhs mujh se meraa pata puchhne lagaa …
sukun-e-dil gayaa nazron se sab qataare gae
chaman mein khilte hue jab se phuul maare gae
havaa-e-maut zaraa der kyaa idhar aai
ki mere haath se uD kar mire ghubaare gae …
aaine ke aks se gul saa badan mailaa huaa
subh ke partav se rang-e-yaasman mailaa huaa
saaf ai uryaani-e-vahshat kahe detaa huun main
post khinchungaa agar meraa badan mailaa huaa …
is paar kaa ho ke bhi mein us paar gayaa huun
ik ism ki barakat se kai baar gayaa huun
khairaat mein de aayaa huun jiiti hui baazi
duniyaa ye samajhti hai ki main haar gayaa huun …
ham ki hain be-ghar koi warrant laaegaa kahaan
jurm ki aasaaniyaan hain laa-makaani mein bahut
ye tire husn kaa aaveza jo mahtaab nahin
kaaba-e-ishq nahin rauza-e-yak-khvaab nahin
ek kolaaz banaati hai tiri khaamoshi
khat-e-inkaar nahin surat-e-ijaab nahin …