Sher
"vo kahte hain main zindagani huun teri ye sach hai to un ka bharosa nahin hai"
"dil diya jis ne kisi ko vo hua sahib-e-dil haath aa jaati hai kho dene se daulat dil ki"
دل دیا جس نے کسی کو وہ ہوا صاحب دل ہاتھ آ جاتی ہے کھو دینے سے دولت دل کی
दिल दिया जिस ने किसी को वो हुआ साहिब-ए-दिल हाथ आ जाती है खो देने से दौलत दिल की

"vo kahte hain main zindagani huun teri ye sach hai to un ka bharosa nahin hai"
"khuda se tira chahna chahta huun mera chahna dekh kya chahta huun"
"vo khat vo chehra vo zulf-e-siyah to dekho ki shaam sub.h ke baad aa.e sub.h shaam ke baad"
"vo phir va.ada milne ka karte hain yaani abhi kuchh dinon ham ko jiina paDega"
"kis ko dekha un ki surat dekh kar ji men aata hai ki sajda kijiye"
"lab-e-nazuk ke bose luun to missi munh banati hai kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang laati hai"