Quote
"lahu men utarti rahi chandni badan raat ka kitna ThanDa laga"
A world of emotion in just two lines — the purest form of Urdu & Hindi poetry
"lahu men utarti rahi chandni badan raat ka kitna ThanDa laga"
"vahshat ke is nagar men vo qaus-e-quzah se log jaane kahan se aa.e the jaane kidhar ga.e"
"bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log kabhi kabhi to kisi aarzu men mar bhi ga.e"
"main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti saari ab mire munh men zaban hai koi sunta hi nahin"
"khauf aisa hai ki duniya ke sata.e hue log kabhi mimbar kabhi mehrab se Dar jaate hain"
"phir koi vus.at-e-afaq pe saaya Daale phir kisi aankh ke nuqte men utara ja.un"
"husn-e-qismat se hamesha 'fitrat' bakht bedar raha khvabon men"
"jaan ka sarfa ho to ho lekin sarf karne se ilm baDhta hai"
"qurb nas nas men aag bharta hai vasl se iztirab baDhta hai"
"har baat hai 'khalid' ki zamane se nirali bashinda hai shayad kisi duniya-e-digar ka"
"mere siine se zara kaan laga kar dekho saans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai"
"jhonke ke saath chhat ga.i dastak ke saath dar gaya taaza hava ke shauq men mera to saara ghar gaya"
"ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat lekin is se kaam chalaya ja sakta hai"
"main use dekh ke lauTa huun to kya dekhta huun shahr ka shahr mujhe dekhne aaya hua hai"
"mohabbat ek dam dukh ka mudava kar nahin deti ye titli baiThti hai zakhm par ahista ahista"
"faqat mal-o-zar-e-divar-o-dar achchha nahin lagta jahan bachche nahin hote vo ghar achchha nahin lagta"
"dariya ki vus.aton se use napte nahin tanha.i kitni gahri hai ik jaam bhar ke dekh"
"ye zindagi kuchh bhi ho magar apne liye to kuchh bhi nahin bachchon ki shararat ke alava"
"ankhon tak aa saki na kabhi ansuon ki lahr ye qafila bhi naql-e-makani men kho gaya"
"raat ko jab yaad aa.e teri khushbu-e-qaba tere qisse chheDte hain raat ki raani se ham"
"milti nahin hai naav to darvesh ki tarah khud men utar ke paar utar jaana chahiye"
"masjid men gar guzar na hua dair hi sahi bekar baiThe kyuun rahen ik sair hi sahi"
"pahle to ham chhan aa.e khaak saare shahr ki tab kahin ja kar khula us ka makan hai samne"
"aa.i khizan ki yaad to dil sard ho gaya kuchh der bhi to lutf na aaya bahar ka"