Sher
"khauf aisa hai ki duniya ke sata.e hue log kabhi mimbar kabhi mehrab se Dar jaate hain"
"vahshat ke is nagar men vo qaus-e-quzah se log jaane kahan se aa.e the jaane kidhar ga.e"
وحشت کے اس نگر میں وہ قوس قزح سے لوگ جانے کہاں سے آئے تھے جانے کدھر گئے
वहशत के इस नगर में वो क़ौस-ए-क़ुज़ह से लोग जाने कहाँ से आए थे जाने किधर गए

"khauf aisa hai ki duniya ke sata.e hue log kabhi mimbar kabhi mehrab se Dar jaate hain"
"kya karun khil.at o dastar ki khvahish ki mujhe ziist karne ka saliqa bhi ziyan se aaya"
"ek na-tavan rishta us se ab bhi baaqi hai jis tarah duaon ka aur asar ka rishta hai"
"ajiib turfa-tamasha hai mere ahd ke log saval karne se pahle javab mangte hain"
"main jo chup tha hama-tan-gosh thi basti saari ab mire munh men zaban hai koi sunta hi nahin"
"talab karen to ye ankhen bhi in ko de duun main magar ye log in ankhon ke khvab mangte hain"