Sher
"dasht o junun ka silsila mere lahu men aa gaya ye kis jagah pe main tumhari justuju men aa gaya"
"ye bhi tiri shikast nahin hai to aur kya jaisa tu chahta tha main vaisa nahin bana"
یہ بھی تری شکست نہیں ہے تو اور کیا جیسا تو چاہتا تھا میں ویسا نہیں بنا
ये भी तिरी शिकस्त नहीं है तो और क्या जैसा तू चाहता था मैं वैसा नहीं बना

"dasht o junun ka silsila mere lahu men aa gaya ye kis jagah pe main tumhari justuju men aa gaya"
"tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai tera kirdar kahani se nikal sakta hai"
"mahakte phuul sitare damakta chand dhanak tire jamal se kitnon ne istifada kya"
"ye bhi ejaaz mujhe ishq ne bakhsha tha kabhi us ki avaz se main diip jala sakta tha"
"tumhari jiit men pinhan hai meri jiit kahin tumhare samne har baar harta hua main"
"bas chand lamhe pesh-tar vo paanv dho ke palTa hai aur nuur ka sailab sa is aabju men aa gaya"