Sher
"ye kaun bolta hai mire dil ke andarun avaz kis ki gunjti hai is makan men"
"kisi ko chhoD deta huun kisi ke saath chalta huun main chalta huun to phir vabastagi ke saath chalta huun"
کسی کو چھوڑ دیتا ہوں کسی کے ساتھ چلتا ہوں میں چلتا ہوں تو پھر وابستگی کے ساتھ چلتا ہوں
किसी को छोड़ देता हूँ किसी के साथ चलता हूँ मैं चलता हूँ तो फिर वाबस्तगी के साथ चलता हूँ

"ye kaun bolta hai mire dil ke andarun avaz kis ki gunjti hai is makan men"
"uDti hai khaak dil ke darichon ke as-pas shayad makin koi nahin is makan men"
"mujhe ye kya paDi hai kaun mera ham-safar hoga hava ke saath gaata huun nadi ke saath chalta huun"
"ek muddat se use dekh raha huun 'ahmad' aur lagta hai abhi ek jhalak dekha hai"
"kya baat karun jo baten tum se karni thiin ab un baton ka vaqt nahin kya baat karun"
"ajnabi log hain main jin men ghira rahta huun ashna koi yahan mere fasane ka nahin"