Sher
"main bhari saDkon pe bhi be-chap chalne lag gaya ghar men so.e log mere zehn par yuun chha ga.e"
"main apne vaqt men apni rida men rahta huun aur apne khvab ki ab-o-hava men rahta huun"
میں اپنے وقت میں اپنی ردا میں رہتا ہوں اور اپنے خواب کی آب و ہوا میں رہتا ہوں
मैं अपने वक़्त में अपनी रिदा में रहता हूँ और अपने ख़्वाब की आब-ओ-हवा में रहता हूँ

"main bhari saDkon pe bhi be-chap chalne lag gaya ghar men so.e log mere zehn par yuun chha ga.e"
"ai sha.er! tera dard baDa ai sha.er! teri soch baDi ai sha.er! tere siine men is jaisa laakh bahe dariya"
"kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi paanv aan gire dariya kabhi mujhe baha kar le jaa.e kabhi mujh men aan bahe dariya"
"usi peD ke niche dafn bhi hona hoga jis ki jaD par main ne apna naam likha hai"
"main kho.e jaata huun tanha.iyon ki vus.at men dar-e-khayal dar-e-la-makan hai ya kuchh aur"
"zara haTe to vo mehvar se TuuT kar hi rahe hava ne nocha unhen yuun ki bas bikhar hi rahe"