Sher
"vasl ka din aur itna mukhtasar din gine jaate the is din ke liye"
"nabz-e-bimar jo ai rashk-e-masiha dekhi aaj kya aap ne jaati hui duniya dekhi"
نبض بیمار جو اے رشک مسیحا دیکھی آج کیا آپ نے جاتی ہوئی دنیا دیکھی
नब्ज़-ए-बीमार जो ऐ रश्क-ए-मसीहा देखी आज क्या आप ने जाती हुई दुनिया देखी

"vasl ka din aur itna mukhtasar din gine jaate the is din ke liye"
"kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jaati hain nakhuda jin ka nahin un ka khuda hota hai"
"gaahe gaahe ki mulaqat hi achchhi hai 'amir' qadr kho deta hai har roz ka aana jaana"
"aafat to hai vo naaz bhi andaz bhi lekin marta huun main jis par vo ada aur hi kuchh hai"
"maang luun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jaa.e sau savalon se yahi ek saval achchha hai"
"kahte ho ki hamdard kisi ka nahin sunte main ne to raqibon se suna aur hi kuchh hai"