Sher
"vahi sub.h-o-masa vahi shab-o-roz zindagi hai vabal kya kahiye"
"bachhDa hua jaise koi milte hi lipaT jaa.e yuun tiir tira aa ke lipaTta hai jigar se"
بچھڑا ہوا جیسے کوئی ملتے ہی لپٹ جائے یوں تیر ترا آ کے لپٹتا ہے جگر سے
बछड़ा हुआ जैसे कोई मिलते ही लिपट जाए यूँ तीर तिरा आ के लिपटता है जिगर से

"vahi sub.h-o-masa vahi shab-o-roz zindagi hai vabal kya kahiye"
"vafa ki aaD men kya kya hui jafa ham par jo dosti yahi Thahri to dushmani kya hai"
"jab dil hi nahin hai pahlu men phir ishq ka sauda kaun kare ab un se mohabbat kaun kare ab un ki tamanna kaun kare"
"kis ghalat-fahmi men apni umr saari kaT ga.i ik vafa-na-ashna ko ba-vafa samjha tha main"
"asan nahin visal to dushvar bhi nahin mushkil men huun ye mushkil-e-asan liye hue"
"zulf-e-mushkin thi mehrban kis ki bu basi hai dimagh men ab tak"