Sher
"jo mere gaanv ke kheton men bhuuk ugne lagi mire kisanon ne shahron men naukri kar li"
"andhe adam vajud ke girdab se nikal ye zindagi bhi khvab hai tu khvab se nikal"
اندھے عدم وجود کے گرداب سے نکل یہ زندگی بھی خواب ہے تو خواب سے نکل
अंधे अदम वजूद के गिर्दाब से निकल ये ज़िंदगी भी ख़्वाब है तू ख़्वाब से निकल

"jo mere gaanv ke kheton men bhuuk ugne lagi mire kisanon ne shahron men naukri kar li"
"apne darvaze pe khud hi dastaken deta hai vo ajnabi lahje men phir vo puchhta hai kaun hai"
"kaisa matam kaisa rona miTTi ka TuuT gaya hai ek khilauna miTTi ka"
"tujhe main zindagi apni samajh raha tha magar tire baghair basar main ne zindagi kar li"
"koi lashkar yahan se guzra hai itni ujDi ye rah-guzar kyon hai"
"gharib-e-shahr to faaqe se mar gaya 'arif' amir-e-shahr ne hiire se khud-kushi kar li"