Sher
"ham shaikh na leader na musahib na sahafi jo khud nahin karte vo hidayat na karenge"
"gulon men rang bhare bad-e-nau-bahar chale chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale"
گلوں میں رنگ بھرے باد نوبہار چلے چلے بھی آؤ کہ گلشن کا کاروبار چلے
गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले

Faiz Ahmad Faiz was a Pakistani poet associated with the Progressive Writers Movement.
"ham shaikh na leader na musahib na sahafi jo khud nahin karte vo hidayat na karenge"
"aur kya dekhne ko baaqi hai aap se dil laga ke dekh liya"
"donon jahan teri mohabbat men haar ke vo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke"
"duniya ne teri yaad se begana kar diya tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgar ke"
"tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain"
"zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis men har ghaDi dard ke paivand lage jaate hain"