Sher
"bachpan se len-den tha us ki sarisht men baton men karobar se aage na ja saka"
"jis badal ne sukh barsaya jis chhanv men priit mili ankhen khol ke dekha to vo sab mausam lamhati the"
جس بادل نے سکھ برسایا جس چھاؤں میں پریت ملی آنکھیں کھول کے دیکھا تو وہ سب موسم لمحاتی تھے
जिस बादल ने सुख बरसाया जिस छाँव में प्रीत मिली आँखें खोल के देखा तो वो सब मौसम लम्हाती थे

"bachpan se len-den tha us ki sarisht men baton men karobar se aage na ja saka"
"main bhi na thi kalam men itni farakh-dil kuchh vo bhi ikhtisar se aage na ja saka"
"ye chand mujh ko hi tak raha hai tumhen hamesha ye shak raha hai"
"main kisi ke saath huun aur vo kisi ke saath hai ik musalsal hadisa ye zindagi ke saath hai"
"mohabbat muntaqil hone lagi hai main ab bachchon ki hoti ja rahi huun"
"vo aa.e to rang sanvarne lagte hain jaise bichhDa yaar bhi koi mausam hai"