Sher
"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"yaar ko main ne mujhe yaar ne sone na diya raat bhar tala-e-bedar ne sone na diya"
یار کو میں نے مجھے یار نے سونے نہ دیا رات بھر طالع بیدار نے سونے نہ دیا
यार को मैं ने मुझे यार ने सोने न दिया रात भर ताला'-ए-बेदार ने सोने न दिया

"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"id-e-nau-roz dil apna bhi kabhi khush karte yaar aghosh men khurshid hamal men hota"
"koi but-khane ko jaata hai koi ka.abe ko phir rahe gabr o musalman hain tiri ghaat men kya"
"vahshat-e-dil ne kiya hai vo bayaban paida saikDon kos nahin surat-e-insan paida"
"ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai"
"qad men to kar chuka tha vo ahmaq barabari majbur sarv ko tiri raftar ne kiya"