Sher
"aaya bhi koi dil men gaya bhi koi dil se aana nazar aaya na ye jaana nazar aaya"
H
Hijr Nazim Ali Khan"haan haan tumhare husn ki koi khata nahin main husn-e-ittifaq se divana ho gaya"
ہاں ہاں تمہارے حسن کی کوئی خطا نہیں میں حسن اتفاق سے دیوانہ ہو گیا
हाँ हाँ तुम्हारे हुस्न की कोई ख़ता नहीं मैं हुस्न-ए-इत्तिफ़ाक़ से दीवाना हो गया
"aaya bhi koi dil men gaya bhi koi dil se aana nazar aaya na ye jaana nazar aaya"
"kuchh khabar hai tujhe o chain se sone vaale raat bhar kaun tiri yaad men bedar raha"
"kabhi ye fikr ki vo yaad kyuun karenge hamen kabhi khayal ki khat ka javab aa.ega"
"ai hijr vaqt Tal nahin sakta hai maut ka lekin ye dekhna hai ki miTTi kahan ki hai"
"kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had ki be-gunah se achchha gunah-gar raha"
"shab-e-firaq kuchh aisa khayal-e-yar raha ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qarar raha"