Sher
"zindagi shayad isi ka naam hai duriyan majburiyan tanha.iyan"
"tujhe kaun janta tha miri dosti se pahle tira husn kuchh nahin tha miri sha.iri se pahle"
تجھے کون جانتا تھا مری دوستی سے پہلے ترا حسن کچھ نہیں تھا مری شاعری سے پہلے
तुझे कौन जानता था मिरी दोस्ती से पहले तिरा हुस्न कुछ नहीं था मिरी शाइरी से पहले

"zindagi shayad isi ka naam hai duriyan majburiyan tanha.iyan"
"daagh duniya ne diye zakhm zamane se mile ham ko tohfe ye tumhen dost banane se mile"
"tera chehra kitna suhana lagta hai tere aage chand purana lagta hai"
"maan ki aghosh men kal maut ki aghosh men aaj ham ko duniya men ye do vaqt suhane se mile"
"ik naya zakhm mila ek na.i umr mili jab kisi shahr men kuchh yaar purane se mile"
"jan-e-bahar tum ne vo kanTe chubho.e hain main har gul-e-shagufta ko chhune se Dar gaya"