Sher
"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle"
دل کو بھی غم کا سلیقہ نہ تھا پہلے پہلے اس کو بھی بھولنا اچھا لگا پہلے پہلے
दिल को भी ग़म का सलीक़ा न था पहले पहले उस को भी भूलना अच्छा लगा पहले पहले

"ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar men hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi"
"maang men Tankne aaya tha sitare koi dil ko kya sujhi ki us khvab ko bimar kiya"
"hamen dekho hamare paas baiTho ham se kuchh sikho hamin ne pyaar manga tha hamin ne daagh paa.e hain"
"dil men hai mulaqat ki khvahish ki dabi aag mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun"
"ab sirf libas rah gaya hai vo le gaya kal badan chura kar"
"paani ka bahav tham gaya hai nikli hai nadi se vo naha kar"