Sher
"mohabbat is liye zahir nahin ki ki tum ko e'tibar aa.e na aa.e"
"nahin hai der yahan apni jaan jaane men tumhare aane ka bas intizar baaqi hai"
نہیں ہے دیر یہاں اپنی جان جانے میں تمہارے آنے کا بس انتظار باقی ہے
नहीं है देर यहाँ अपनी जान जाने में तुम्हारे आने का बस इंतिज़ार बाक़ी है

"mohabbat is liye zahir nahin ki ki tum ko e'tibar aa.e na aa.e"
"na tasalli na tashaffi na dilasa na vafa umr ko kaTen tire chahne vaale kyun-kar"
"kuchh nahin ma.alum hota dil ki uljhan ka sabab kis ko dekha tha ilahi baal suljhate hue"
"khuda ka ghar bhi hai dil men buton ki chaah bhi hai sanam-kada bhi hai dil apna khanqah bhi hai"
"haath TuTen jo chhua bhi ho haath dukh ga.i un ki kala.i kyun-kar"
"main ne maana ki dil nahin nakam phir mire kaam kyuun nahin aata"