Sher
"gham-o-karb-o-alam se duur apni zindagi kyuun ho yahi jiine ka saman hain to phir in men kami kyuun ho"
"gham na apna na ab khushi apni ya.ani duniya badal ga.i apni"
غم نہ اپنا نہ اب خوشی اپنی یعنی دنیا بدل گئی اپنی
ग़म न अपना न अब ख़ुशी अपनी यानी दुनिया बदल गई अपनी

"gham-o-karb-o-alam se duur apni zindagi kyuun ho yahi jiine ka saman hain to phir in men kami kyuun ho"
"usi ko ham samajh lete hain apna sadgi dekho jo apne saath rah-e-shauq men do gaam aata hai"
"kahan rah jaa.e thak kar rah-navard-e-gham khuda jaane hazaron manzilen hain manzil-e-aram aane tak"
"jab se fareb-e-zist men aane laga huun main khud apni mushkilon ko baDhane laga huun main"
"ghubar-e-zindagi men laila-e-maqsud kya ma.ani vo divane hain jo is gard ko mahmil samajhte hain"
"jis ne ji bhar ke tajalli ko kabhi dekha ho koi aisa bhi tiri jalva-gah-e-naz men hai"