Sher
"paDhne vaala bhi to karta hai kisi se mansub sabhi kirdar kahani ke nahin hote hain"
"dekhne vaale tujhe dekhte honge lekin dekhne valon ko hairat bhi to hoti hogi"
دیکھنے والے تجھے دیکھتے ہوں گے لیکن دیکھنے والوں کو حیرت بھی تو ہوتی ہوگی
देखने वाले तुझे देखते होंगे लेकिन देखने वालों को हैरत भी तो होती होगी

"paDhne vaala bhi to karta hai kisi se mansub sabhi kirdar kahani ke nahin hote hain"
"ik na.e gham se kinara bhi to ho sakta hai ishq phir ham ko dobara bhi to ho sakta hai"
"sher ki tarah jo hote hain mukammal kuchh log vo bina misra-e-sani ke nahin hote hain"
"rang darkar the ham ko tiri khamoshi ke ek avaz ki tasvir banani thi hamen"
"mujh se ziyada kaun tamasha dekh sakega gandhi-ji ke tinon bandar mere andar"
"likhte likhte hi laDi aankh jo raani se miri phir to raaja ko nikalna tha kahani se miri"