Sher
"kal tire ehsas ki barish tale mera suna-pan nahaya der tak"
"miri pyaas ka tarana yuun samajh na aa sakega mujhe aaj sun ke dekho miri khamoshi se aage"
مری پیاس کا ترانہ یوں سمجھ نہ آ سکے گا مجھے آج سن کے دیکھو مری خاموشی سے آگے
मिरी प्यास का तराना यूँ समझ न आ सकेगा मुझे आज सुन के देखो मिरी ख़ामोशी से आगे

"kal tire ehsas ki barish tale mera suna-pan nahaya der tak"
"zakhm bhi ab hasin lagte hain tere hathon fareb khane par"
"hasrat-e-mausam-e-gulab huun main sach na ho pa.ega vo khvab huun main"
"kaise hoti hai shab ki sahar dekhte kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte"
"tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh men"
"maaro patthar bhi to nahin hilta jam chuka hai ab is qadar paani"