Sher
"barf-manzar dhuul ke badal hava ke qahqahe jo kabhi dahliz ke bahar the vo andar bhi the"
"asudgi ne thapkiyan de kar sula diya ghar ki zaruraton ne jagaya to Dar laga"
آسودگی نے تھپکیاں دے کر سلا دیا گھر کی ضرورتوں نے جگایا تو ڈر لگا
आसूदगी ने थपकियाँ दे कर सुला दिया घर की ज़रूरतों ने जगाया तो डर लगा

"barf-manzar dhuul ke badal hava ke qahqahe jo kabhi dahliz ke bahar the vo andar bhi the"
"khvahishon ki aanch men tapte badan ki lazzaten hain aur vahshi raat hai gumrahiyan sar par uTha.e"
"astinon men chhupa kar saanp bhi laa.e the log shahr ki is bhiiD men kuchh log bazigar bhi the"
"koi dastak na koi aahaT thi muddaton vahm ke shikar the ham"
"maana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam basti men bach ga.e the makan kam bahut hi kam"
"surkh mausam ki kahani to purani ho ga.i khul gaya mausam to saare shahr men charcha hua"