Sher
"har shakhs hai ishtihar apna har chehra kitab ho gaya hai"
"kitne dinon ke pyase honge yaaro socho to shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai"
کتنے دنوں کے پیاسے ہوں گے یارو سوچو تو شبنم کا قطرہ بھی جن کو دریا لگتا ہے
कितने दिनों के प्यासे होंगे यारो सोचो तो शबनम का क़तरा भी जिन को दरिया लगता है

"har shakhs hai ishtihar apna har chehra kitab ho gaya hai"
"tumhare shahr ka mausam baDa suhana lage main ek shaam chura luun agar bura na lage"
"tu is tarah se mire saath bevafa.i kar ki tere baa'd mujhe koi bevafa na lage"
"rasta dekh ke chal varna ye din aise hain gunge patthar bhi savalat karenge tujh se"
"tum se bichhDe dil ko ujDe barson biit ga.e ankhon ka ye haal hai ab tak kal ki baat lage"
"main zahr piita raha zindagi ke hathon se ye aur baat hai mera badan hara na hua"