Sher
"lab-e-shirin se agar ho na tera lab shirin kohkan tu bhi to ab daman-e-kohsar na chhoD"
"bas nahin chalta hai varna apne mar jaane ke saath phenk dete khod kar duniya ki sab buniyad ham"
بس نہیں چلتا ہے ورنہ اپنے مر جانے کے ساتھ پھینک دیتے کھود کر دنیا کی سب بنیاد ہم
बस नहीं चलता है वर्ना अपने मर जाने के साथ फेंक देते खोद कर दुनिया की सब बुनियाद हम

"lab-e-shirin se agar ho na tera lab shirin kohkan tu bhi to ab daman-e-kohsar na chhoD"
"mujhe khushi ki giraftar main hua tera to shaad ho ki hai aisa shikar asiir mira"
"kaam hai matlab se chahe kufr hove ya ki diin ja pahunchna hai kisi surat se apne yaar tak"
"shaikh mujh ko na Dara apni musalmani thaam ham faqiron ka kisi rang se iman na jaa.e"
"nargisi chashm dikha kar ke vo vahshat-zada yaar ye gaya vo gaya jis tarah ghazal aap se aap"
"hai juda sajda ki ja hindu musalman ki magar fahm valon ke ta.iin dair-o-haram donon ek"