Sher
"abhi na chheD mohabbat ke giit ai mutrib abhi hayat ka mahaul khush-gavar nahin"
"gar zindagi men mil ga.e phir ittifaq se puchhenge apna haal tiri bebasi se ham"
گر زندگی میں مل گئے پھر اتفاق سے پوچھیں گے اپنا حال تری بے بسی سے ہم
गर ज़िंदगी में मिल गए फिर इत्तिफ़ाक़ से पूछेंगे अपना हाल तिरी बेबसी से हम

"abhi na chheD mohabbat ke giit ai mutrib abhi hayat ka mahaul khush-gavar nahin"
"barbadiyon ka sog manana fuzul tha barbadiyon ka jashn manata chala gaya"
"un ke rukhsar pe Dhalke hue aansu tauba main ne shabnam ko bhi sho.alon pe machalte dekha"
"kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadse ham zindagi men phir koi arman na kar sake"
"mere khvabon men bhi tu mere khayalon men bhi tu kaun si chiiz tujhe tujh se juda pesh karun"
"phir kho na jaa.en ham kahin duniya ki bhiiD men milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi"