Sher
"ye to socha hi nahin us ko juda karte hue chun liya hai gham bhi khushiyon ko riha karte hue"
"abhi se chhoTi hui ja rahi hain divaren abhi to beTi zara si miri baDi hui hai"
ابھی سے چھوٹی ہوئی جا رہی ہیں دیواریں ابھی تو بیٹی ذرا سی مری بڑی ہوئی ہے
अभी से छोटी हुई जा रही हैं दीवारें अभी तो बेटी ज़रा सी मिरी बड़ी हुई है

"ye to socha hi nahin us ko juda karte hue chun liya hai gham bhi khushiyon ko riha karte hue"
"mujh ko bhi kar dega rusva vo zamane bhar men khud bhi ho ja.ega badnam yahi lagta hai"
"ik yahi soch bichhaDne nahin deti tujh se ham tujhe baad men phir yaad na aane lag jaa.en"
"khud charaghon ko andheron ki zarurat hai bahut raushni ho to unhen log bujhane lag jaa.en"
"mere aane ki khabar sun ke vo dauDa aata us ko pahuncha nahin paigham yahi lagta hai"
"agar bichhaDne ka us se koi malal nahin 'shabana' ashk se phir aankh kyuun bhari hui hai"