Sher
"socha tha lauT aa.ega apna samajh ke vo us ko gila hai mujh ko pukara nahin gaya"
"mujh ko sukun men dekh ke hairat na ho tujhe ye soch ke main zakhm koi sil nahin raha"
مجھ کو سکوں میں دیکھ کے حیرت نہ ہو تجھے یہ سوچ کے میں زخم کوئی سل نہیں رہا
मुझ को सुकूँ में देख के हैरत न हो तुझे ये सोच के मैं ज़ख़्म कोई सिल नहीं रहा

"socha tha lauT aa.ega apna samajh ke vo us ko gila hai mujh ko pukara nahin gaya"
"jab tu hi dekhne ko mayassar nahin hamen ankhon ko rakh na den kahin bahar nikal ke"
"bas is khayal se kahin duniya na dekh le likh kar tumhara naam miTana paDa hamen"
"vo khiDki ab aur kisi ko takti hai main ne bhi us gali men jaana chhoD diya"
"is darja mujhe 'ishq ne mazbut kiya hai hans hans ke main sah leta huun nuqsan vaghaira"
"chaupal apne gaanv ki viran ho ga.i tum ne darakht kaaT ke achchha nahin kiya"