Sher
"ab-e-hayat ja ke kisu ne piya to kya manind-e-khizr jag men akela jiya to kya"
"mazra-e-duniya men daana hai to Dar kar haath Daal ek din dena hai tujh ko daane daane ka hisab"
مزرع دنیا میں دانا ہے تو ڈر کر ہاتھ ڈال ایک دن دینا ہے تجھ کو دانے دانے کا حساب
मज़रा-ए-दुनिया में दाना है तो डर कर हाथ डाल एक दिन देना है तुझ को दाने दाने का हिसाब

"ab-e-hayat ja ke kisu ne piya to kya manind-e-khizr jag men akela jiya to kya"
"kabhu bimar sun kar vo ayadat ko to aata tha hamen apne bhale hone se vo azar behtar tha"
"gulshan-e-dahr men sau rang hain 'hatim' us ke vo kahin gul hai kahin bu hai kahin buuTa hai"
"ye masla shaikh se puchho ham is jhagDe se farigh hai ki DaDhi shahr men kis ki baDi aur kis ki chhoTi hai"
"ahl-e-ma.ani juz na bujhega koi is ramz ko ham ne paaya hai khuda ko surat-e-insan ke biich"
"tanha.i se aati nahin din raat mujhe niind ya-rab mira ham-khvab o ham-aghosh kahan hai"