Sher
"ye jang jiit hai kis ki ye haar kis ki hai ye faisla miri TuuTi kaman se hoga"
"ham duniya se jab tang aaya karte hain apne saath ik shaam manaya karte hain"
ہم دنیا سے جب تنگ آیا کرتے ہیں اپنے ساتھ اک شام منایا کرتے ہیں
हम दुनिया से जब तंग आया करते हैं अपने साथ इक शाम मनाया करते हैं

"ye jang jiit hai kis ki ye haar kis ki hai ye faisla miri TuuTi kaman se hoga"
"zindagi jang hai a.asab ki aur ye bhi suno ishq a.asab ko mazbut bana deta hai"
"safar men hoti hai pahchan kaun kaisa hai ye aarzu thi mire saath tu safar karta"
"miri tavajjoh faqat mire kaam par rahegi main khud ko sabit karunga da.ava nahin karunga"
"main ne bakhsh di tiri kyuun khata tujhe ilm hai tujhe di hai kitni kaDi saza tujhe ilm hai"
"zindagi bhar ki riyazat miri be-kar ga.i ik khayal aaya tha badle men vo kya deta hai"