Sher
"ai zindagi kabhi inkar ka sabab bhi sun main thak gaya huun teri haan men haan milate hue"
"'arsh' baharon men bhi aaya ek nazara patjhaD ka sabz shajar ke sabz tane par ik sukhi si Daali thi"
عرشؔ بہاروں میں بھی آیا ایک نظارہ پت جھڑ کا سبز شجر کے سبز تنے پر اک سوکھی سی ڈالی تھی
'अर्श' बहारों में भी आया एक नज़ारा पतझड़ का सब्ज़ शजर के सब्ज़ तने पर इक सूखी सी डाली थी

"ai zindagi kabhi inkar ka sabab bhi sun main thak gaya huun teri haan men haan milate hue"
"ye bahs chhoD ke kitni hasin hai duniya tu ye bata ki tera dil kahin laga ki nahin"
"main bahut duur se aaya huun ik ummid liye baiThne mat do magar naam to batlane do"
"naya naya hai so kah lo ise akela-pan phir is maraz ke ka.i aur naam a.enge"
"na.i nahin hai ye tanha.i mere hujre ki maraz ho koi bhi hai charagar se Dar jaana"
"ik mohabbat bhare cinema men mere marne ka scene mere khvab"