Sher
"aap ko khuun ke aansu hi rulana hoga hal-e-dil kahne ko ham apna agar baiTh ga.e"
"na aa.e samne mere agar nahin aata mujhe to us ke siva kuchh nazar nahin aata"
نہ آئے سامنے میرے اگر نہیں آتا مجھے تو اس کے سوا کچھ نظر نہیں آتا
न आए सामने मेरे अगर नहीं आता मुझे तो उस के सिवा कुछ नज़र नहीं आता

"aap ko khuun ke aansu hi rulana hoga hal-e-dil kahne ko ham apna agar baiTh ga.e"
"tum apni zulf se puchho miri pareshani ki haal us ko hai ma.alum hu-ba-hu mera"
"vo parda-nashini ki ri.ayat hai tumhari ham baat bhi khalvat se nikalne nahin dete"
"furqat men kar-e-vasl liya vaah vaah se har ah-e-dil ke saath ik arman nikal gaya"
"tere kahne se main ab la.un kahan se naseh sabr jab is dil-e-muztar ko khuda ne na diya"
"khoya gham-e-rifaqat dekho kamal apna bahka diya hai sab ko dikhla ke haal apna"