SHAWORDS

ek hangaama bapaa hai arsa-e-aflaak par — Salim Saleem

HomeSalim SaleemGhazal
"ek hangaama bapaa hai arsa-e-aflaak par khaamushi phailaa rakhi hai aaj main ne khaak par ab miraa saaraa hunar miTTi mein mil jaane hai haath us ne rakh diye hain dida-e-namnaak par roz baDhti hi chali jaati hai binaai miri roz rakh detaa huun aankhon ko teri poshaak par"
Urdu

ایک ہنگامہ بپا ہے عرصۂ افلاک پر خامشی پھیلا رکھی ہے آج میں نے خاک پر اب مرا سارا ہنر مٹی میں مل جانے ہے ہاتھ اس نے رکھ دئے ہیں دیدۂ نمناک پر روز بڑھتی ہی چلی جاتی ہے بینائی مری روز رکھ دیتا ہوں آنکھوں کو تیری پوشاک پر

Hindi

एक हंगामा बपा है अर्सा-ए-अफ़्लाक पर ख़ामुशी फैला रखी है आज मैं ने ख़ाक पर अब मिरा सारा हुनर मिट्टी में मिल जाने है हाथ उस ने रख दिए हैं दीदा-ए-नमनाक पर रोज़ बढ़ती ही चली जाती है बीनाई मिरी रोज़ रख देता हूँ आँखों को तेरी पोशाक पर

ek hañgāma bapā hai arsa-e-aflāk par
Salim Saleem
Salim Saleem
Salim Saleem
poet101 quotes

More by Salim Saleem

View all →
Quote
"khud apne vaaste kyaa kyaa sukhan banaate hain kisi ki zulf ko jab pur-shikan banaate hain ghazaal-e-shaam-o-sahar yunhi ram kiye jaaein ham apne siine ko dasht-e-khutan banaate hain usi ki khaak ke ham bhi bane hue hain miyaan ye chaak hai chalo us kaa badan banaate hain ye log bhaage hue hain tire visaal se kyaa jo tere hijr ko apnaa vatan banaate hain hamin pe paDti hain un aainon ki bauchhaarein to ham bhi un ke liye baankpan banaate hain tamaam 'umr ki aashuftagi-e-jaan ke 'evaz kisi ke lams ko apnaa kafan banaate hain"
Salim SaleemSalim Saleem