Quote
"ġham-e-hayāt kā manzar badalne vaalā hai ḳhushī manāo ki sūraj nikalne vaalā hai vo shaḳhs jis ne hamesha ḳhulūs bāñTā thā zarā sī baat pe tevar badalne vaalā hai ġhurūr hone lagā us ko apnī shohrat par ye azhdahā ise zinda nigalne vaalā hai sambhālo apne safīne ḳhud apne hāthoñ meñ sunā hai aaj samundar machalne vaalā hai vaqār-e-ilm-o-hunar kam na ho kahīñ 'ejāz' yahī charāġh havāoñ meñ jalne vaalā hai"
