Quote
"kyaa khabar thi ek din ye haadisa ho jaaegaa umr bhar chaahaa jise vo bevafaa ho jaaegaa ho agar azm-e-musammam khvaahish-e-manzil ke saath raah kaa patthar bhi ik din rahnumaa ho jaaegaa is qadar baDhne lagi hai har taraf aaludgi saans lenaa aadmi kaa masala ho jaaegaa zindagi bhar saath chalne ki jo khaataa hai qasam dekhnaa vo raaste hi mein judaa ho jaaegaa ab tumhaaraa koi khat koi khabar milti nahin aise aalam mein to jiinaa bhi sazaa ho jaaegaa sar uThaate hain yahaan bhi asr-e-haazir ke yazid kal ye khitta bhi mahaaz-e-karbalaa ho jaaegaa kuchh na kuchh 'ejaaz' naghme likh vatan ke naam par is tarah se shaairi kaa haq adaa ho jaaegaa"
