Shayari
ab teraa khel khel rahaa huun main apne saath
khud ko pukaartaa huun aur aataa nahin huun main
rah jaaegi ye saari kahaani yahin dhari
ik roz jab main apne fasaane mein jaaungaa
رہ جائے گی یہ ساری کہانی یہیں دھری
اک روز جب میں اپنے فسانے میں جاؤں گا
रह जाएगी ये सारी कहानी यहीं धरी
इक रोज़ जब मैं अपने फ़साने में जाऊँगा

ab teraa khel khel rahaa huun main apne saath
khud ko pukaartaa huun aur aataa nahin huun main
main kisi aur hi aalam kaa makin huun pyaare
mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsaan miraa
jis ke baghair ji nahin sakte the jaa chukaa
par dil se dard aankh se aansu kahaan gayaa
ab tujhe meraa naam yaad nahin
jab ki teraa pataa rahaa huun main
hai musibat mein giraftaar musibat meri
jo bhi mushkil hai vo mere liye aasaani hai
vo aur honge jo kaar-e-havas pe zinda hain
main us ki dhuup se saaya badal ke aayaa huun