Shayari
man mein aayaa pahle tum ko taa'ne duun
khair haTaao aur bataao kaise ho
duniyaa tire suraagh ko ab paa gayaa huun main
lailaa se laa-ilaah talak aa gayaa huun main
دنیا ترے سراغ کو اب پا گیا ہوں میں
لیلیٰ سے لا الہ تلک آ گیا ہوں میں
दुनिया तिरे सुराग़ को अब पा गया हूँ मैं
लैला से ला-इलाह तलक आ गया हूँ मैं

man mein aayaa pahle tum ko taa'ne duun
khair haTaao aur bataao kaise ho
har ik aansu kaa badlaa ho saktaa hai
ye moti angaare bhi ban sakte hain
mujhe chhoD kar jo chalaa gayaa use yaad karne se kyaa gharaz
jo Thahar gae unhein shukriya jo chale gae unhein alvidaaa’
zinda rahte milne vaale laakhon hain
mayyat par har girtaa aansu daulat hai
ek 'arse ke baa'd main ne tumhein dekhaa hai
ek 'arse ke baa'd phir se mujhe pyaar huaa
tum se bichhaD ke phir koi hasrat nahin bachi
phir tere jaise shakhs se milnaa nahin huaa