Shayari
jis ko tum bhuul ga.e yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare
pi loge to ai shaikh zaraa garm rahoge
ThanDaa hi na kar dein kahin jannat ki havaaein
پی لوگے تو اے شیخ ذرا گرم رہوگے
ٹھنڈا ہی نہ کر دیں کہیں جنت کی ہوائیں
पी लोगे तो ऐ शैख़ ज़रा गर्म रहोगे
ठंडा ही न कर दें कहीं जन्नत की हवाएँ

jis ko tum bhuul ga.e yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare
taalib-e-khair na honge kabhi insaan se ham
naam us kaa hai bashar us mein hai shar do-baTaa-tin
yaa rahein is mein apne ghar ki tarah
yaa mire dil mein aap ghar na karein
aane vaali hai kyaa balaa sar par
aaj phir dil mein dard hai kam kam
gila naa-mehrbaani kaa to sab se sun liyaa tum ne
tumhaari mehrbaani ki shikaayat ham bhi rakhte hain
vatan ki sar-zamin se ishq-o-ulfat ham bhi rakhte hain
khaTakti jo rahe dil mein vo hasrat ham bhi rakhte hain