Sher
"jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain"
"jahan pahunch ke qadam Dagmaga.e hain sab ke usi maqam se ab apna rasta hoga"
جہاں پہنچ کے قدم ڈگمگائے ہیں سب کے اسی مقام سے اب اپنا راستا ہوگا
जहाँ पहुँच के क़दम डगमगाए हैं सब के उसी मक़ाम से अब अपना रास्ता होगा

"jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain"
"shahrahen daf.atan sho.ale ugalne lag ga.iin ghar ki janib chal paDa hai shahr ghera kar tamam"
"amir-e-karvan hai tang ham se hamara rasta sab se alag hai"
"ham se 'abid' apne rahbar ko shikayat ye rahi aankh munde un ke pichhe chalne vaale ham nahin"
"safar men aise ka.i marhale bhi aate hain har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain"
"zamana mujh se juda ho gaya zamana hua raha hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi"