Sher
"apne daman ki kuchh khabar hai 'majid' soch kar khud ko parsa kahiye"
"na jaane kis ki yaad ne li dil men gudgudi aa.ina dekh dekh ke sharma rahe hain ham"
نہ جانے کس کی یاد نے لی دل میں گدگدی آئنہ دیکھ دیکھ کے شرما رہے ہیں ہم
न जाने किस की याद ने ली दिल में गुदगुदी आइना देख देख के शरमा रहे हैं हम

"apne daman ki kuchh khabar hai 'majid' soch kar khud ko parsa kahiye"
"sab apni apni raah par aage nikal ga.e ab kis ka intizar kiye ja rahe hain ham"
"nahin milti unhen manzil jinhen khauf-e-havadis hai jo maujon se nahin Darte nadi ko paar karte hain"
"jis ke pairon tale zamin nahin us ka saara jahan hota hai"
"bevafa kahiye ba-vafa kahiye dil men aa.e jo barmala kahiye"
"kahan shikva zamane ka pas-e-divar karte hain hamen karna hai jo bhi ham sar-e-bazar karte hain"