Sher
"vo jo kal tak haan men haan karta tha meri aaj to vo bhi nahin par aa gaya hai"
"zakhm kha kar bhi jo dua.en de kaun us ka muqabla karega"
زخم کھا کر بھی جو دعائیں دے کون اس کا مقابلہ کرے گا
ज़ख़्म खा कर भी जो दुआएँ दे कौन उस का मुक़ाबला करेगा

"vo jo kal tak haan men haan karta tha meri aaj to vo bhi nahin par aa gaya hai"
"chand men tu nazar aaya tha mujhe main ne mahtab nahin dekha tha"
"'momin-miyan' ye kaam nahin hai ye ishq hai kya soch men paDe ho karun ya karun nahin"
"khud ko kitna bhula diya main ne tu bhi ab ajnabi sa lagta hai"
"sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diya jo sab ko chhoD ke tanha khaDa hai mere saath"
"us ne va.ada nahin liya mujh se aur kahta hai main mukar raha huun"