Sher
"mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar us ne divaron ko apni aur uncha kar diya"
"dariya ki vus.aton se use napte nahin tanha.i kitni gahri hai ik jaam bhar ke dekh"
دریا کی وسعتوں سے اسے ناپتے نہیں تنہائی کتنی گہری ہے اک جام بھر کے دیکھ
दरिया की वुसअतों से उसे नापते नहीं तन्हाई कितनी गहरी है इक जाम भर के देख

"mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar us ne divaron ko apni aur uncha kar diya"
"kis tarah jama kijiye ab apne aap ko kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke"
"vo kaun tha jo din ke ujale men kho gaya ye chand kis ko DhunDne nikla hai shaam se"
"koi khud-kushi ki taraf chal diya udasi ki mehnat Thikane lagi"
"jo chup-chap rahti thi divar par vo tasvir baten banane lagi"
"tum ko da.ava hai sukhan-fahmi ka jaao 'ghalib' ke taraf-dar bano"