Sher
"mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar us ne divaron ko apni aur uncha kar diya"
"kab tak paDe rahoge havaon ke haath men kab tak chalega khokhle shabdon ka karobar"
کب تک پڑے رہوگے ہواؤں کے ہاتھ میں کب تک چلے گا کھوکھلے شبدوں کا کاروبار
कब तक पड़े रहोगे हवाओं के हाथ में कब तक चलेगा खोखले शब्दों का कारोबार

"mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar us ne divaron ko apni aur uncha kar diya"
"kis tarah jama kijiye ab apne aap ko kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke"
"vo kaun tha jo din ke ujale men kho gaya ye chand kis ko DhunDne nikla hai shaam se"
"koi khud-kushi ki taraf chal diya udasi ki mehnat Thikane lagi"
"jo chup-chap rahti thi divar par vo tasvir baten banane lagi"
"tum ko da.ava hai sukhan-fahmi ka jaao 'ghalib' ke taraf-dar bano"