Sher
"zindagi par is se baDh kar tanz kya hoga 'faraz' us ka ye kahna ki tu sha.er hai divana nahin"
"jo ghair the vo isi baat par hamare hue ki ham se dost bahut be-khabar hamare hue"
جو غیر تھے وہ اسی بات پر ہمارے ہوئے کہ ہم سے دوست بہت بے خبر ہمارے ہوئے
जो ग़ैर थे वो इसी बात पर हमारे हुए कि हम से दोस्त बहुत बे-ख़बर हमारे हुए

"zindagi par is se baDh kar tanz kya hoga 'faraz' us ka ye kahna ki tu sha.er hai divana nahin"
"tere hote hue mahfil men jalate hain charagh log kya saada hain suraj ko dikhate hain charagh"
"bahut dinon se nahin hai kuchh us ki khair khabar chalo 'faraz' ko ai yaar chal ke dekhte hain"
"ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden ye akhiri sham.en bhi bujhane ke liye aa"
"ab tira zikr bhi shayad hi ghazal men aa.e aur se aur hue dard ke unvan janan"
"TuuTa to huun magar abhi bikhra nahin 'faraz' mere badan pe jaise shikaston ka jaal ho"