Sher
"khol kar zulf-e-musalsal ko paDhi us ne namaz ghar men allah ke bhi jaal bichha kar aaya"
"mujh se bigaD ga.e to raqibon ki ban ga.i ghairon men baT raha hai mira e'tibar aaj"
مجھ سے بگڑ گئے تو رقیبوں کی بن گئی غیروں میں بٹ رہا ہے مرا اعتبار آج
मुझ से बिगड़ गए तो रक़ीबों की बन गई ग़ैरों में बट रहा है मिरा ए'तिबार आज

"khol kar zulf-e-musalsal ko paDhi us ne namaz ghar men allah ke bhi jaal bichha kar aaya"
"main hi momin main hi kafir main hi ka.aba main hi dair khud ko main sajde karunga dil men tum ho dil men tum"
"band-e-qaba men bandh liya le ke dil mira siine pe us ke phuul khila hai gulab ka"
"kuchh na puchho zahidon ke batin o zahir ka haal hai andhera ghar men aur bahar dhuan batti charagh"
"saari khilqat raah men hai aur ho manzil men tum donon aalam dil se bahar hain faqat ho dil men tum"
"musalman kafiron men huun musalmanon men kafir huun ki qur.an sar pe but ankhon men hai zunnar pahlu men"