Sher
"tumhare vasl ka jis din koi imkan hota hai main us din roza rakhta huun bura.i chhoD deta huun"
"rafaqaton ka tavazun agar bigaD jaa.e khamoshiyon ke ta.avun se ghar chala lena"
رفاقتوں کا توازن اگر بگڑ جائے خموشیوں کے تعاون سے گھر چلا لینا
रफ़ाक़तों का तवाज़ुन अगर बिगड़ जाए ख़मोशियों के तआवुन से घर चला लेना

"tumhare vasl ka jis din koi imkan hota hai main us din roza rakhta huun bura.i chhoD deta huun"
"jo kho gaya hai kahin zindagi ke mele men kabhi kabhi use aansu nikal ke dekhte hain"
"main ne is shahr men vo Thokaren khaa.i hain ki ab aankh bhi muund ke guzrun to guzar jaata huun"
"is qadar aap ke badle hue tevar hain ki main apni hi chiiz uThate hue Dar jaata huun"
"tujh se bichhDun to tiri zaat ka hissa ho ja.un jis se marta huun usi zahr se achchha ho ja.un"
"vo apne husn ki khairat dene vaale hain tamam jism ko kaasa bana ke chalna hai"