Sher
"shayad ki riha.i ho gul hi ki zamanat par ham mauj-e-tabassum ki zanjir ke qaidi hain"
"ab is makan men naya koi dar nahin karna ye kaam sahl bahut hai magar nahin karna"
اب اس مکاں میں نیا کوئی در نہیں کرنا یہ کام سہل بہت ہے مگر نہیں کرنا
अब इस मकाँ में नया कोई दर नहीं करना ये काम सहल बहुत है मगर नहीं करना

"shayad ki riha.i ho gul hi ki zamanat par ham mauj-e-tabassum ki zanjir ke qaidi hain"
"aate aate aa.ega un ka khayal jaate jaate be-khayali ja.egi"
"tariki ke raat azaab hi kya kam the din nikla to suraj bhi saffak hua"
"ye jo dhuan dhuan sa hai dasht-e-guman ke as-pas kya koi aag bujh ga.i sarhad-e-jan ke as-pas"
"zakhmon ko ashk-e-khun se sairab kar raha huun ab aur bhi tumhara chehra khila rahega"
"yahin gum hua tha ka.i baar main ye rasta hai sab mera dekha hua"