Sher
"jo reza reza nahin dil use nahin kahte kahen na a.ina us ko jo para-para nahin"
"un se meri baat na puchh un se meri an-ban hai"
ان سے میری بات نہ پوچھ ان سے میری ان بن ہے
उन से मेरी बात न पूछ उन से मेरी अन-बन है

"jo reza reza nahin dil use nahin kahte kahen na a.ina us ko jo para-para nahin"
"ang ang se rang rang ke phuul baraste dekhe kaun rang rang se shole barse kaise barse soche kaun"
"main makin huun na makan shahr-e-mohabbat ka 'zafar' dil musafir na kisi ghair ke ghar ja.ega"
"kaun Dubega kise paar utarna hai 'zafar' faisla vaqt ke dariya men utar kar hoga"
"kyuun tirgi se is qadar manus huun 'zafar' ik sham-e-rah-guzar ki sahar tak jali bhi hai"