Sher
"main apne vaqt men apni rida men rahta huun aur apne khvab ki ab-o-hava men rahta huun"
"apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo badbuen phaila deta hai paani ka Thahrao"
اپنا آپ نہیں ہے سب کچھ اپنے آپ سے نکلو بدبوئیں پھیلا دیتا ہے پانی کا ٹھہراؤ
अपना आप नहीं है सब कुछ अपने आप से निकलो बदबूएँ फैला देता है पानी का ठहराव

"main apne vaqt men apni rida men rahta huun aur apne khvab ki ab-o-hava men rahta huun"
"main bhari saDkon pe bhi be-chap chalne lag gaya ghar men so.e log mere zehn par yuun chha ga.e"
"kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi paanv aan gire dariya kabhi mujhe baha kar le jaa.e kabhi mujh men aan bahe dariya"
"usi peD ke niche dafn bhi hona hoga jis ki jaD par main ne apna naam likha hai"
"main kho.e jaata huun tanha.iyon ki vus.at men dar-e-khayal dar-e-la-makan hai ya kuchh aur"
"zara haTe to vo mehvar se TuuT kar hi rahe hava ne nocha unhen yuun ki bas bikhar hi rahe"