Sher
"zindagi apna safar tai to karegi lekin ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha"
"sun ke har samt siskiyan main ne jaane kyon kar liin duriyan main ne"
سن کے ہر سمت سسکیاں میں نے جانے کیوں کر لیں دوریاں میں نے
सुन के हर सम्त सिसकियाँ मैं ने जाने क्यों कर लीं दूरियाँ मैं ने

"zindagi apna safar tai to karegi lekin ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha"
"qaa.em hai ab bhi meri vafaon ka silsila ik silsila hai un ki jafaon ka silsila"
"tumhen ham se mohabbat hai hamen tum se mohabbat hai ana ka da.era phir bhi hamare darmiyan kyon hai"
"dard jab zabt ki har had se guzar jaata hai khvab tanha.i ki aghosh men so jaate hain"
"agar hai zindagi ik jashn to na-mehrban kyon hai fasurda rang men Duubi hui har dastan kyon hai"
"kuchh to ehsas-e-mohabbat se huiin nam ankhen kuchh tiri yaad ke badal bhi bhigo jaate hain"