Sher
"ham fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata khuun sharab kar lena jism jaam kar lena"
"tesha-ba-kaf ko a.ina-gar kah diya gaya jo aib tha use bhi hunar kah diya gaya"
تیشہ بکف کو آئینہ گر کہہ دیا گیا جو عیب تھا اسے بھی ہنر کہہ دیا گیا
तेशा-ब-कफ़ को आइना-गर कह दिया गया जो ऐब था उसे भी हुनर कह दिया गया

"ham fana-nasibon ko aur kuchh nahin aata khuun sharab kar lena jism jaam kar lena"
"udhar sach bolne ghar se koi divana niklega udhar maqtal men istiqbal ki tayyariyan hongi"
"baat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisar ham bhi ik roz kisi sham.a pe jal kar dekhen"
"yak-ba-yak jaan se guzarna to hai asan 'anjum' qatra qatra ka.i qiston men pighal kar dekhen"
"kya ajab hai ki ye muTThi men hamari aa jaa.e asman ki taraf ik baar uchhal kar dekhen"
"sar-e-rah mil ke bichhaD ga.e tha bas ek pal ka vo hadsa mire sehn-e-dil men muqim hai vahi ek lamha azaab ka"